Faridoon Shahryar's Blog


Monday, March 18, 2024

Qaayam hoon

Sab kuch sahi kiya, aisa daava kabhi nahin kiya hai main ne
Mauqa poora diya hai tum ko, is baat par main qaayam hoon

#FaridoonShahryar

Friday, March 15, 2024

Vaada

Ye meri kahaani hai, aur main hi sunaoonga 
Vaada hai doston, danka apna bajvaoonga 

#FaridoonShahryar

Dil lagao kabhi

Rishton mein nafa nukhsaan dekha nahin karte 
Dil lagao kabhi, har faisla dimagh se liya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 12, 2024

Sahi kiya

Sahi kiya
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo bhi kiya 
Sahi kiya
Dil ko mom nahin
Zanjeer kiya
Jazzbaton ko kass ke
Jakad Liya
Sanson ko thaam liya
Samjha diya
Har us rishte ko
Jo jazb hai
Rom rom mein
Jo bhi kiya
Sahi kiya.

Sunday, March 10, 2024

Sukoon ka saaya

Sukoon ka saaya
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Sukoon ka saaya 
Hum se kuch 
Yun juda hua
Jaise saansen
Dheeme dheeme
Zindagi ka saath 
Chhodne ka mansooba
Bana rahi hon lekin
Faisla mubham sa hai.

Saturday, March 9, 2024

Sharm Aur Shikva

Aankhon mein sharm ke alaava bohot kuch nazar aata hai
Shikva kisi se kyun karen, waqt jaisa bhi ho guzar jaata hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 8, 2024

Taaliyon ki mausiqui

Taaliyon ki mausiqui
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mahdood mera daayra na ho
Isi firaaq mein deevangi se 
Dosti kar li hai 
Har lamha jashn-e-zindagi se
Do chaar hone ki mansha liye
Khoyi khoyi si tabassum odhe
Chala ja raha hoon
Bahe ja raha hoon
Waqt ki rau ko tasleem 
Karta bhi hoon 
Aur ye dua bhi labon par
Umadti si hai
Timtimaate sitaaron ke beech 
Mahtaab bun kar chha jaoon
Aur taaliyon ki mausiqui par 
Raqs ho.